Wednesday 16 November 2016

Sochta hoon ke woh kitne masoom the

Roothna mera kaargar na hua
Yaar mere jatan ko jaan gaya
Jab wo aaya mujhe manane ko 
main badi saadgi se maan gaya

Tumhare pyar ka dam bhar raha hoon
Badi paakidagi se marr raha hoon
Mujhe tumse garaz kuch nahi hai
Fakat tumse mohabbat kar raha hoon

Achchi Surat ko sawarne ki zarurat kya hai
Saadgi mein bhi kayamat ki ada hoti hai
Tum Jo aa jate ho masjid mein ada Karne namaaz 
Tumko maloom hai kitnon ke kaza hoti hai

Aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya
Apne ujde hue daman ko Bahut yaad kiya
Jab kabhi gardish e taqdeer ne ghera hai humein
Gaisu e yaar ki uljhan ko Bahut yaad kiya

Aaj toote hue sapnon ki Bahut yaad aayi
aaj beete hue sawan ko Bahut yaad kiya

Sochta hoon ke woh kitne masoom the 
Kya se kya ho Gaye dekhte dekhte

Maine patthar se jinko banaya sanam
Wo khuda ho gaye dekhte dekhte

Mere haathon se tarashe hue patthar ke sanam
Mere hi saamne bhagwan bane baithe hain

Jin pattharon ko humne ata ki thi dhadkane
Wo bolne lage to humhi par baras pade

Hashar hai wahshat e dil ki aawargi
Humse poocho mohabbat ki deewangi
Jo pata poochte the kisi ka kabhi 
La pata ho gaye dekhte dekhte 

aap yaadon mein hain aap khwabon mein hain
Aap sanson mein hain aap aankhon mein hain

Ab to rah e mohabbat mein hum aapka 
Aina ho gaye dekhte dekhte 

Humse ye Soch kar koi wada karo...

Din chup gaya suraj ka kahin naam Nahin hai
O wada shikan ab bhi Teri shaam nahi hai

Tumhara aana na aana 
tamanna ka hai mar jana

Kab aaoge jab aoge
Kya banke qayamat ka sabab aaoge
Chayi hai ghata Aur barasti hai sharaab
Ab bhi nahi aaye to kab aaoge

Dil pe chot lagti hai unke muskarane se
Ho sake to ab jao kisi bahane se

Tera zulm nahin hai shamil gar meri Barbadi mein 
Teri ankhein kyon bheeg rahi hain mere afsane se

Aate ho tadapate ho jaate ho tadapate ho
Tera na aana hi behtar hai is aane jaane se

Humse ye Soch kar koi wada karo
Ek wade pe umarein guzar jayengi
Ye hai duniya yahan kitne aehle wafa 
Bewafa ho gaye dekhte dekhte

Gair ki baat 'Tasleem' kya kijie
Ab to Khud par bhi humko bharosa nahin
Apna saya samajhte the jinko kabhi
Wo juda ho gaye dekhte dekhte

AB

Friday 4 November 2016

ye tune aaj kya nigahe yaar kar diya

wo taalluk na rakhega kabhi maikhane se
jisne pi li ho tere ankh ke paimane se

kya tamasha hai teri zulf bikhar jaane se
hosh waaale bhi nazar aate hain deewane se

sajde kyun kar na karun dar pe sanamkhaane ke
jaagti hai teri tasvir sanamkhaane se

ye tune aaj kya nigahe yaar kar diya
aisi pilayi aaj ke sarshaar kar diya

na khabar apni hai na aalam ki
aisi pilayi apni nazar se

saaki ne maste nargise mastaana kar diya
aisi pilayi aaj ke deewana kar diya

nazar mila ke kaha mujhse mere saaki ne
haraam kehte hai jisko yeh wo sharaab nahi

kar rahi dar haqeeqat kaam saaki ki nazar
maikade mein gardish e saagar paraye naam hai

ashqon ne kya gazab gham e deedar kar liya
jee bhar ke dekhna hamein dushwaar kar diya

imaan o deen o zauhad garaz jo tha hamare pass
sab kuch nisaar e abroo e khamdaar kar diya

ik tashna lab ne yoon bhi diya imtehan e ishq
qurban raza e yaar par ghar baar kar diya

khuda waale khuda ko iss tarah se yaad karte hain
gale pe teg lab pe shukr dil mein yaad karte hain

hausla hazrat e shabbir ka allah allah
sar jhuka hota hai aur shukr e khuda karte hain

bete bhi diye sar bhi diya
ghar bhi diya yaar ki khaatir

teri ik nigah ki qeemat meri saari zindagaani
tu agar qabool kar le toh teri meharbaani

gar qabool uftald hai warna kya gila
dil ke tukde tukde chunkar nazar karne laaya hoon

shahhed kaun wo guzra hai aisa aalam mein
sana ki nokh pe jo zikr e la ilah kare

la ilah to padh liya ab le maza taseer ka
la ilah ke teh ke niche khoon hai shabbir ka

namaaz e zahidan sajda shajud ast
namaaz e ashiqan darke wajud ast

maine dar e sanam pe iss tarah padhi namaaz
kaaba meri namaaz pe qurbaan ho gaya

jo nahi hai ankh purnam toh yeh justaju na poocho
yeh hai dard ka fasaana isse bewaju na poocho

mera yaar saamne hai mujhe kaif wo mila hai
main namaaz padh raha hoon mera qibla yaar na ppocho

ye fark teri meri bandagi mein hai zahid
namaaz tune padhi zikr e yaar maine kiya

khuda ki zaat bhi karti hai naaz kya kehna
hussain paak tumhari namaaz kya kehna

saamne jab bhi yaar hota hai dil pe kab ifteyaar hota hai
zikr e jaana hi dil ke liye zikr e parwardigaar hota hai

mareeze ishq ka aksar ye haal hota hai
kisi ke naam se chehra bahaal hota hai

main isse ishq kahun ya jamaal e ishq kahun
namaaz mein bhi tumhaara khayaal hota hai

wisaal e yaar ke aalam mein jaa ke aa na saka
hazaar zohad kiya khud mein khud ko paa na saka

zabaan pe aaye the isiya ka naabad o lekin
sanam ke paon pe sar rakh ke phir utha na saka

sajde mein sir kata kar shahe mashar chain ne
itna buland ishq ka miyaar kar diya

allah chashm yaar teri zauf shaaniyan
jis dil ko dekha matla e anwaar kar diya

iss iltefabe khaas pe qurbaan jaun main
teri nazar ne meherme asraar kar diya

tujhe dekha khuda ko dekha
phir iske baad kuch na dekha

deedar ke qaabil toh kahaan meri nazar hai
yeh teri inayat hai ki nazar idhar hai
\
but ko but aur khuda ko jab khuda kehte hain
main bhi dekhun ke tujhe kya kehte hain

khaate the thokrein jo zamaane ke the gada
teri gali mein aaye to sultaan ban gaye

main kuch nahi magar yeh haqiqat zaroor hai
tere dar e karam se muhabbat zaroor hai

yeh aur baat aaye na aadab e bandagi
lekin tumhare dar se aqeedat zaroor hai

kase mein mujh fakir ke kuch bhi nahi magar
lekin tumhare ishq ki daulat zaroor hai

mujh benawa ke waaste ye bhi toh kam nahi
haathon mein unka daamne nisbat zaroor hai

do zakh mein jo kaa mera saaya na jaye ga
haathon mein mere inka daaman

jalaye mujhko do zakh
tauba tauba ho nahi sakta

mil gayi hai sanad ghulami ki
apni kismat pe kyun na naaz karun

pehchaana jaunga
iss naam o nishaan se main

jab farishte qabr mein aayenge lene ko hisaab
sau sawalon ka yahi hoga faqat mera jawaab

mil gaya inka dar aur kya chahiye
aye jabeen naaz kar aur kya chahiye

main kiska kaun hoon kya kahoon nahin wo poochte
 kya hai qabr pe tehreer hai

manaa nawazishaat ke qabil nahi hoon main
phir bhi kisi ki mujhpe inayat zaroor hai

jalwe hazaar saamne aate rahein toh kya
aankhon mein farz unki ziarat zaroor hai

aeena gham ki dhoop kabhi mujhpe aye fanaa
sar pe kisi ka daaman e rehmat zaroor hai

mera kya hai gulshan e bahr mein
main rha toh kya na raha toh kya

ye astaana hai ghareebon ka aabad rahe
ye aasra hai ghareebon ka barqraar rahe

mujhko matlab nahi zamane se
haider e abdul ke aastane se

nigahe karam haajiyon ko mubarik
sar pe rahe daamane rehmat

butkada nazdeek kaaba door tha
ruk gaya bas yahin majboor tha

ek ham hain ke hamein kuch bhi passe wafa
ek woh hain ke karam ham pe kiye jaate hain

unke sang e dar se kuch aisi aqeedat ho gayi
umr bhar ki ek sajde mein ibaadat ho gayi

dar pe hain dair o haram unki ibadat ko salaam
jo dar e yaar pe sar apna jhuka dete hain

hamne ye bandagi ka tareeka bana liya
apne sanam ko yaad kiya sar jhuka liya

kaaba kisi ke naaz uthaye toh hamein kya
hamne toh unki yaad ko kaaba bana liya

hujoom e gham se jab ghabra gaye hain
kisi ke aastan pe aa gaye hain

kisi ka aastan aalah o akbar
sahaare besahaare paa gaye hain

patta dekh gal vich sohne naam wala
saunh rabb di koi dutkaarda nahi

chahe kise dware utte bhaunk aawan
tera samajh koi maarda nahi

junoon e ishq ne behosh kar diya lekin
phir bhi yaad e sanam main bhula na saka

tu sitamgaar hai main sitamaashna

raazdaaron se bach ke chalta hoon
ghamgusaaron se bach ke chalta hoon
mujhko dhokha diya sahaaron ne
ab sahaaron se bach ke chakta hoon

sheeraza e hayaat pareeshaan ho gaya
yeh marhala bhi khair se aasaan ho gaya
mere sukoon e dil ko toh hona ho tabah
unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya

shab e gham ki sahar nahi hoti
ho bhi toh mere ghar nahi hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab e gham mukhtasar nahi hoti

bhool ho jaati hai yun taaish mein aaya na karo
faasalein khatam karo baat badaaya na karo
teri raahon ke ishaare yeh adaayein tauba
in sharaabon ko sarre aam lutaaya na karo

saamp zehri ho toh kuch waar hasin hoti hai
saaya e zulf ko chehre se hataaya na karo

tu sitamgaar hai main sitamaashna
ranj mein muskuraana mera kaam hai

zakhm par zakhm de na zara bas chala
zakhm hasn hasn ke khaana mera kaam hai

aa idhar tujh pe qurban mera junoon
apne hisse ki khushiyaan tujhe bakhsh doon

tu sitamgar hai phir bhi mera dost hai
dost ke kaam aana mera kaam hai

dil pe gin gin ke dhaana sitam pe sitam
aur phir yaad rakhna mera kaam hai

dil pe gin gin ke tere sitam jhelna
aur phir bhool jaana mera kaam hai


AFAQ BUTT

hai ibaadat meri naat e khairul wara

banne hain dono jahaan mizhat e nabi ke liye
nabi ki naat sahaara hai zindagi ke liye

hai ibaadat meri naat e khairul wara
mujhko duniya ki parwah nahi hai

naat e mehboob daawar sadad ho gayi
meri bakhshish wahin mustadad ho gayi

naam e muhammad itna meetha meetha lagta hai
manwa nabi nabi nit bol 
issi naam ki barkat ne 
diye raaz e haqeeqat khol

lab pe jab unka naam aata hai
lamakan se salaam aata hai

mera muh liya kyun noor hul ameen ne
liya jis waqt maine naam e muhammad

naam e muhammad itna meetha meetha lagta hai
pyare nabi ka hamko zikr bhi pyara lagta hai

naat kehna ke kareena aa gaya
ab rehmat ka khazeena aa gaya
naat jab maine padi sarkaar ki
saamne memre madina aa gaya

meri pehchaan hai nisbat e mustafa
mujhko do zakh ka khatka nahi hai

naaz jis baat pe hai wo baat yahi hai
meri pehchaan hai nisbat e mustafa

unse nisbat nahi to kuch bhi nahi
gar yeh daulat nahi to kuch bhi nahi

tinka hoon magar khauf e hawa ras nahi rakhta
lo dekh lo toofan ke main sir pe chada hoon
main kuch bhi nahi hoon yeh mujhe naaz hai aaka
nisbat hai meri aapse main sabse bada hoon

na yeh daulat na shohrat badi cheez hai
na yeh takht o hakoomat badi cheez hai
gar koi cheez duniya mein hai jo badi
kamli wale se nisbat badi cheez hai

shah e batha se jo nisbat ho gayi hai
mujhe har gham se fursat ho gayi hai
jabeen wakf e ibaadat ho gayi hai
mujhe unse muhabbat ho gayi hai

mujhe kehte hain sab deewana unka
yeh soorat kaisi soorat ho gayi hai
mila hai daaman e sarkaar mujhko
meri poori zaroorat ho gayi hai

mili jab si muhammad ki ghulami
meri duniya mein izzat ho gayi hai

koi baitha rahe andesha e farda lekar
mutmayin hun issi nisbat ka sahaara lekar

jaake ghar ghar sajaata hoon main mehfilein
apne mehbood ki rabb ke makhlood ki
sadka sarkaar ka hai mila martaba
kaise keh dun ki milta nahi hai

kitna hai yeh karam rakhte hain wo bharam
main toh nadaan wabista ky aky ana kiya
laaj rakh li meri sarkaar ne ruswa na kiya

kitna hai yeh karam rakhte hain wo bharam
sayyid e mohtaram shah e waala hasham
yaad e sarkaar se shaad hai dil mera
aur kuch dil ko bhaata nahi hai

kun khuda ne kaha khalq sab ko kiya
jiski khaatir kaha wo toh pehle se tha
aap ke noor se noor sabko mila
aapsa koi dekha nahi hai

hai yeh hardam dua jab ho waqt e niza
muhammad saamne ho aur mera dam nikalta ho

bilahi se badhkar aarzu e dil nahi koi
muhammad ya muhammad kehte kehte dam nikal jaaye

hai yeh hardam dua jab ho waqt e niza
aap hon us ghaddi saamne mustafa
hai tamanna yahi aakhiri bakhuda
aur koi tamanna nahi hai

azmat e zindagi nisbat e mustafa
maksad e bandagi mizhat e mustafa
padh tu 'Safri' sada naat e khair ul wara
jism ka jin pe saaya nahi hai

avein bol na banere utte kaawaan sajna nahi aaona

pardes gayan pardesi hoyan
terian nitt watanan wal loran
jogan kamli karke sutt gayan
baithi kakh galiyan de bhoran
chaal piya di aisi niraali
jivein pehle payiyaan moran
yaar fareed main kaafir howan
je mukh sajna walon moran

kook dilan kaddi rabb sunesi
ehna dard mandan diyan aahin
tailan baaj na ballan mashaalan
kitte dardan baaj na aahin
lokan diyan jhokan payiyaan wasdiyan aayiyaan
kaddi saddi vi wasdi aahi
ki hoya tussan bolan chaddeya
assan vekhan chaddna naahi

aa kaaga tainu churiyaan paawan
kaddi sadde vi baith banere
de paigaam koi sajna waala
ve main shagan manaawan tere
aa ke baith banere sadde
shayad aa jaan saajan mere
addiyaan chuk chuk yaar fareeda
raah takkan main shaam savere

avein bol na banere utte kaawaan sajna nahi aaona
chete haar shingaar na mainu
bhul gayiyaan sab sakhiyaan
har dam ohdi raahwan vekhan
eh dukhiyaariyaan ankhiyaan
tak tak ohdiyaan sunjhiyaan raahwan
hun nazaran vi ne thakkiyaan
saadik sajna nahi aaona
assi pher vi aasaan rakhiyaan

yaad ohdi vich chham chham raunde nain ne dardan maare
kulli yaad bhulaayan vi na kite lakh main chaare
mukh partaake tur gaya maahi karke jhoothe kaare
saadik rehndiyan dinne udeekan raat nu ginn diyan taare

avein bol na banere utte kaawaan sajna nahi aaona
payiyaan kadon diyan sunjiyaan raahwaan sajna nahi aaona

dil mere nu wad wad khaawe
kaanu evein boliyan paawe
chup kar ja tainu main samjhaawan
sajna nahi aaona

na tu boli bol banere
mud ja tarle paawan tere
na jhoothiyan de sadaawaan
sajna nahi aaona

sochan de vich dil ghabraaya
'Saadik' mud watani nahi aaya
aaona howe te dasse sarnaawa
sajna nahi aaona